Saturday, September 1, 2007

Ham Main Hi Thi Na Koi Baaat....Yaad Na Tum Ko A Sakay..!!!

Ham main hi thi na koi baaat....
yaad na tum ko a sakay..
tum ne hamain bhula dia ..
ham na tum ko bhula sakay
tum hi na sun sako agar...
qissaay-gum sunay ga kon..
kis ki zubaan khule gi phir...
ham na agar phir suna sakay...
Ham main hi thi na koi baaat....
yaad na tum ko a sakay..
tum ne hamain bhula dia ..
ham na tum ko bhula sakay...
ronek-e bazm ban gay....
lab pe hikayatain raahin..
dil main shikayataain rahi..
lab na magar hilaa sakay...
Ham main hi thi na koi baaat....
yaad na tum ko a sakay..
tum ne hamain bhula dia ..
ham na tum ko bhula sakay...
shok-e-wisaal hai yahan...
lab pe sawal hai yahan....
kiski majal hai yahan....
ham se nazar milaa sakay...
Ham main hi thi na koi baaat....
yaad na tum ko a sakay..
tum ne hamain bhula dia ..
ham na tum ko bhula sakay...!!!~

2 comments:

A N Khan said...

Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai ………… Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai ……. Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein….. Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai…… Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai ……. Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai ……. Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai …. Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai … Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye …… Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai….. Puraney Zakham Ko "Kash" Bhula Dena Hi Acha ……… Na Chahey Aap Hi Koi To Kismat Kab Badalti Hai

A N Khan said...
This comment has been removed by the author.