Monday, January 14, 2008

Wussat-e-Gham...!!!!~


Dard Se Yeh......
Raat Karah rahi Hai....
Sonay nahin Dayti Mujhay....
Gehri Khamoshi K seenay Main....
Karb Angaiz Siskiyaaan...
Paywast Ho rahi Hain...
Iski amber Fishaan zulfaain...
Wajood pe maire....
Chaai Ja rahi hain...
Maira Wajood?
Yani Main....
Nahin mujhay Ehsaas Jiska...
yeh Maira Wajood Hai..
Yeh Main hon...
Ya Dera Hai koi Gham Ka....
Ya...
Basaira Hasraton Ka...
Jis main Hain Qaid...
MEri Rooh Meri Jaaan....
Maira Dard....
Raat ki Nas Nas main...
kar chuka Saraiyaat...
Phailta hi Jata hai.....
jaisay Kay...
Parday-e Shaaab Pori Kainaat Per..
Yeh Na thi mujhay khabaaR....
apne Gham ki Wussat ki......
Kitna Waseee hai maira Gham....
Simaat Jaay gar yeh.....
Kudh ko Bay Ghar paaon gi...
Main Kahan Phir jaaaon Gi..!!!~

Wednesday, January 2, 2008

Dukh Boltay Hain....!!~


DUKH BOLTAY HAIN:
jab seenay ander sans kay darya doltay hain,
jab muasam sard hawa main,
chup si gholtay hain,
jab anso palkain roltay hain,
jab sab awazain apnay apnay bister per so jati hain,
tab ahista ahista ankhain kholtay hain,
dukh boltay hain...!!!~

Saturday, December 29, 2007


Wafa Ke Wade Wo Sare Bhulla Gaya Chup Chaap...

Wo Maire Dil Ki Deewarain Hila Gayaa Chup Chaap..!!~

Thursday, December 27, 2007



Yeh Bala Ki Khaamoshi.....
Yeh Tanhaee....Yeh Sanata.....
Kuch Kahna Chahta Hai
Kuch Suna Chahta Hai....
Magar Main Hooon Kay Bas....
Khud Main Magan..
Dil Pay Naqsh Ebarat Ko......
Parti Hoon Aur Mitaa Daiti Hoon.....
Ankhoon Main Doobay Sailab Ko..
Roook Laiti Hoon.....
Izhaar Ka Her Moqaa Nikal Janay Kay Bad Bee....
Afsoos Ka Moqaa Nahi Milta.....
Her Tamana Her Khwaish....
Khud Main He Dam toor Jaati Hai.....
Dastak Daiti Her Khushi WapiS Luat Jati Hai.....
Yeh Sab Kuch Ho Janay Kay Bad bhi....
Meray Lab nahi Khultay..
....Dosto.. Tum Jaisa Be Samjho Main Aisi He
Hon....Main JAiSi Hon Main Waisi he Hon !!

Tuesday, December 25, 2007

For my Late Brother...Miss You Bhai!


Woh kin rahoon pe chal nikle ?
Woh kiss nagri main ja bethay?
Woh kis wadi main uter gay ??
Woh hunstay boltay kidhar gay!!!
Inhe aankhain dhoondti rehty hain
Aur sub se poochty rehty hain
JO haar gay jo toot gay
Jo rooth gay jo choot gay
Kya un k wapis aanay ka
Koi karan hay miljane ka?
Ab sansee bolty rehty hain
Meri soochain doolti rehty hain
Shyeed woh bhatak kar aa jain
Shyeed woh khooye mill jain
Shyeed woh sooye jaag perain
Shyeed woh roothay maan jain
Aa kaash ager woh mill jain!!!
Ek baar ager woh aa jain!!
Main un ko chupaa ke youn rakhoon
Phir kabhi na bahir janay doon!!!

Monday, December 24, 2007


Memories..
They always eat me inside..
They always infiltrate my mind...
Stripped bare of all my happiness...
Stripped bare of all confidence...
When i needed you most, you left me ...
Decaying away of all the beauty filled in this heart...
Stories and lies...
Betrayal and punishment..
Life and death..
These sins have no purity...
Locked in my cage of iron bars..
Robbed of all light, robbed of trust, of a life.
Realizations has always come pouring, had only i understood the instinct long before.
I need no more.
I want no more.


I wont settle for ANY more.

This heart has settled in its grave. I will always be affected, Reminded, confronted by this, by you. But i have learned to chose a different path.

These memories.

...Bury Me ALIVE....

Saturday, December 22, 2007


Kabhie kabhie aisa bhi hota hai k kuch dekh kar, kisi se mil kar, UDASI dheeray dheeray DUA ban jati hai..ARZOO ban jati hai.. aur insaan zindigi ki pori woqaat aur mithaas mang bhait'ta hai..Aisa din zindigi main zaroor ata hai...jab TAMANNA paon k neechay apni hathaylian is tarha rakhti hai k ham ussi k ho rehte hain...!!!!!