sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana ....
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana
jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone me ....
use poori tarah se tum bhulado phir chale jana
ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue ...
tum aake ek baar inko sulado phir chale jana
kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka ....
jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana
bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka ....
jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana
wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se ...
bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana
jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki ....
sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana
jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai ....
meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana
mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho ....
mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!